Aur Doston kaise hai , Aaj
hum bat karenge apne pc ke folder icon ko change karne ka. Aap puchhenge ki hum
pc ke icon ko change kyu kare kyun ki dosto isse hum kisi bhi folder ko apne
hisab se customize kar ke aasani se pehchan sakte hai. Agar man lijiye aapke pc
me 100 folder ke bich aapko targeted folder chunna hai aur aapne icon apne
hisab se change kiya hai to use aap aasani se pehchan jayenge. To chaliye hum
batate hai folder icon change kaise kare –
1.
Sabse pehle aap
kisi folder ko select kare aur phir right click kar ke option khole.
2.
Uske bad sabse
niche properties option pe click kar ke properties khole.
3. Uske bad
customize tab pe click kare.
4.
Customize tab me
sabse niche aapko folder icon block dikhega jisme change icon button pe click
kare.
5.
Change icon pe
click karne se ek naya box open hoga jisme kai icon honge.
6.
Isme se apni
pasand ka icon choose kare aur ok button pe click kare.
Ab us folder pe aapki pasand
ka icon change ho gaya hai.
Dosto agar aapko ye post
pasand aayi ho to comment aur share jarur kare (thank you)
0 comments:
Post a Comment
Type your Comment