• 9th class me school chora aur aaj 2company ka maalik

    kehte hain ki agar jeevan me aage badhna hain to apne mukaam ke saath safalta ke sikhro ko chuna hain to siksha bina sambhav nahi hain. lekin is concept ko darkinaar kar kuch naya karne ke junoon ne mahaj 16year ke ladke ko 2comapnio ka maalik bana diya.


    mumbai ke humans of bombay naam ke facebook page par motivational story padhne ko milti hain . humans of bombay page par yeh innocent story hain mumbai ke angad daryaani ki.
    NDTV ki news ke mutaabik 9th class me do baar fail hone ke baad angad ne school chor diya aur keval 2year baad 16 year ki age me wah 2comapny ke maaalik ban gaye . humans of bombay facebook page pe bataya gaya hain ki angad ne school jaana isliye chor diya , kyunki unhe jindagi ki 
    school se sikhne me jayda maza aata hain.
    humans of bombay facebook page me anagad daryaani ne apni ek post me likha hain ki "me jab class 9th me tha tab school chor diya,kyunki me baar-baar puraane concept ko bilkul sikhna nahi chahta tha" unhone kaha ki school's siksha me bachhe naye idea nahi laate aur book's me theory's yaad karte the ,jise baad me bhul jaate the,
    angad ka maanna hain ki school ke grading system ke bajaye ghar par behtar study ki jasa sakti hain.

    page par unhone likha tha ki jab me 10 saal ka tha,to me apne father ke paas gaya aur kaha ki me hower craft bnana chahta hu to unhone mere idea  ka mazak udaane ki jagah unhone mujhe aage badhne ko kaha ' bata de ki keval 16year ki age me wah 2comany chla rahe hain jo curiocity aur innovation ko badhwa dene waale matter banati hain.

    MIT ke professor Do.ramesh raskar ke saath kaam karte hue anagad aur unki team ne virtual brailer bhi bnaya hain,jo ki kisi bhi PDF document ko brail me convert kar deta hain. aap agar yeh janna chahte hain ki dobara school ka rukh kyu kiya aur desh ke liye unka kya sapna hain, to aapko unki puri kahnai humans of bombay naam ke facebook page par padhe..



    agar aapko ye story pasand aayi ho to comment aur share jarur kare (thank you)

  • 0 comments:

    Post a Comment

    Type your Comment